Khubsurti esi ki byaan krne pr au,
To shayad ye chaand bhi aaj fikka sa pdne lge,
Or ye shaam, shayad chhoti.
Aftaab(Sun) ne bhi jb uska zikr sunna tha,
To jal kr muh mod sa lia tha.
Nazaakat(delicateness) kuch esi mano kisi baag me ek esa phool,
Jispr bethna hr bhwra chahta ho,
pr uski komal pankhudion pr apni koi chhap nhi chodne chahta,
Wo jese hai moutjza(miracle) si hai.
Hr muskurahat me uski ek ruhaaniyat(soulfulness) si hai,
Or hr lafz uska ek inaayat(blessing) hai.
Ba-dastoor(Unaltered) jb talak thi wo,
Sukoon(peace) sa tha uski lehja(way of speaking) me ek,
Uski chaal me ek riwaayat(traditional touch) thi,
Or Jis qadar faisla kr lia badalne ka,
Sb piche chod sa dia
Mano sapne hmare the jo glti se unhone dekh lie the kabhi.
Jis shiddat se us mohabbat ki shuruwat hui thi ,
Shayad agar hui bhi thi,
Ushi shiddat ke nazranno ko tarsna wajood se bnne lga tha shayad ab,
Galti dhundhne se shuru kia tha,
Or ab shayad ek dusre se milne ko hi galti mante hai wo..
Jo wo ek qurbat(closeness) thi khin kbhi ,
Shayad jo hme dikhi thi,
Maan nhi skte ki sach hai shayad, ki haan, sirf hme hi dikhi thi.
Faislon pr khde rehna sikhna tha unhe humse,
Kese maan bhi lie unhone apne faisle se badal jaenge hum.
Sr aankhon pr bithane ka wada yad hai unhe, shayad bhul gye ki ye bhi kha tha hmne ki galat cheez me kbhi saath nhi denge,
Agaah krke unke faisle ka intezaar krenge.
Daaon pr jb wo khud ko hi lga krke beth gye,
To bethe-bethe ek nyi priksha se samna hua,
Priksha kuch esi thi ki ek taraf khai me girna unke sath tha,
Or ek taraf shayad kuaan(well) tha…
Aankh bnd krke kuaan chun to lia hmne magar,
Unhone hme rokne se zruri khai ko smjha ,
Samajh agya hme jisse hmne khai kha tha use kuch or man rhe the wo,
Pr bhul gye the wo bhi shayad ki us khai se waakif hme unhone hi kraya tha
Wada kia tha hmesha sath milenge hum,
Aaj unke ek faisle se dir khde hai hum,
Ye janne ka koi mtlb nhi reh gya ab ki kon shi hai or kon galat,
Pr haan piche hi shi khde milenge hum, hmesha…
Bs smajh lena sb shi chlraha hai to koi gum nhi humme apke kisi faisle ka bhi,
Pr thokar lge to khan jana hai ye bhulna mt kbhi.
Wese haan ek baat hai, btana mt kisi ko,
Apke jane ke baad nafrat ayi thi darwaze pr ,
Ki kya kuch jagah hai mere lie apke andar..
Mere jwaab tha-
“Chal bewakoof pagal hai kya😉...”
Kunki na humne mzak kia tha kabhi na apne,
Pr haan apne khaa zrur thi ki apki khushion ko nazar jldi lgti hai ,or mujhe khona nhi hai apko
Sorry yr bs yhi ek cheez seriously nhi li thi, socha tha-
“ kya esa bhi kbhi ho skta hai hmare beech, chal hat pagal..🙂”
Comments