Skip to main content

Miss Tanhai😉

Pta hai aaj bhi whatsapp ki status privacy se tu hat nhi payi hai,
Teri pics ki to kya khu, tere jhute messages tk delete krne ki himmat bhi to jut nhi payi hai,
Yad hai vo chhota dbba jisse duniya fingerprint sensor kehti hai,
Usme jee rhi teri chhap hi to hai wo,
Jo rok deti hai is hanged up phone ko bhi format marne se,
Vrna tech geeks ke phone ka to tu bhi janti hai, kitna drta hai atakne se,
Ya shayad is phone ko bhi ab khauf hi nhi mera,
Shayad hone lga tha ye bhi khin mujhse pehle tera,
Janta hi hai ye bhi mera sb kuch tu me ab kho chuka hu,
Or ab shayad ek aakhri yad bnkr jeena, ise bhi gwara nhi..

Wo ghnto lmbi hmari chat pdna aaj mera favourite time paas hai mana,
Pr yar kha tha na tune ki tujhse better mujhe kisi ne nhi jana,
Jana bhi to ese jana ,
Ki tujhe hi jana pd gya ,
To kya jana,
Ise better to na jaan na hi tha ,
Shayad aj bhi tu bagal me hi bethi hoti,
Shayad zada kuch nhi to wese hi km se km aankhon me aankhen daal ek baat to keh pati,
Shayad zada kuch nhi to to wo hansi to whan hoti,
Jiske ane ki wajah bhi mene kbhi khud ko man lia tha,
Or ab jiske jane ki wajah bhi mujhe khud ko hi man kr jeena pdega,
Shayad aaj bhi tu hoti or teri aankhen tujhse zada,
Mujhse teri baatein kia krti,
Shayad aaj bhi is shayad shbd ko itna tang na krna pdta,
Or shayad me wo likh rha hota jiska sbse pehla message me tujhe bhej pata,
Shayad aaj bhi me apni hr tkleef khud tk phonchne se pehle,
Expect krta teri dhmkio se dr kr mujh tk phonche,
Or shayad aaj aadhi tkleefe to tere hone bhar se hi khtm ho jati,
Kyunki ye sch hai ke khzane ki rkhwali ek chor se behtereen kr pana kisi ke bs ki baat nhi hai,
Shayad teri zuban se apna naam sunne ke lie me aaj itna taras na jata ,
Or shayad aaj ayi yad se me itna tadap bhi na jata,
Kitna shi tha na pehle, jb yaad ayi muh utha ke phone kr dete the ek dusre ko,
Aaj sala whi muh hai ki samne ane pr bhi uthne ki,
Shayad himmat nhi joota pata,
ya shayad aaj bhi ushi sync me hai jo uthkr dekhta to hai pr baari baari,
Pr agar esa hai,
To kya ab ye nazre hai jo hm churate hai ek dusre se ya sch me hi zindagi ne krdia koi haseen sitam, or na tum smjh ske na hum..

Haha, shayad ye sb na hota agar ye zindagi bhi kisi movie ki trah chlti hoti,
Upar ek director hota,

Hme pehle se ye khani puri pta bhi hoti,
Or phir chalti bhi to ye khaani km se km kbhi adhuri to na hoti,
Yad hai kha tha mene adhuri cheeson se nfrat hai mujhe,
To  agar ab concept ye hai ki hme jisse nfrat hoti hai hum wese bnne lgte hai,
To waah re zindagi sitam to tera smjh agya,
Ab haseen bnane ke lie application kese likhte hai bs ye btade mujhe,
Kyuki sehnshilta shbd to mujhe smjh ata tha ,
Pr ab to baat shenshilta ke bhi papa tk jaa chuki hai,

Or Baap to baap hota hai…
Bhul gyi kya , 
Papa ka dr kya hota hai..
Tune kha tha na ki papa ka dr nhi hota kisi ko,
Dr hota hai unki izzat ka or khaas taur pr jo wo hmari wajah se khtre me pd jae,
Han shi kha tha,
Mujhe smjh bhi agya ,

To agar ab bs ye seekh dene ke lie gyi thi phir to aja ,
Shayad khani age bdhane ka samay nikle jaa rha hai,
Shayad sch chhod, jhooth me doobe rehna ka waqt ab khtm hone ko aya hai,
Shayad aashiqui or deewanagi chhod mohabbat bula rhi ho ab,
Qadar na hmari kii thi,
Or na hi apni,
Pr ab waqt keh rha,
To aa chal qadar ki hi qadar kr le,
Sath me,
Aankhon me aankhen daal kr,
Haathon me haath daal kr,
Rooh se rooh ko mila kr..

Comments

Popular posts from this blog

Dear God: Ek Khhat..

Haha, Shi hai na, Tuuu.. khin hai na, Aaj tera wajood meri nazaron me khatre me hai, Janta hai ku , Kunki tu mujhme hai or khin nhi , Tujhe manna sikhaya jata hai hme bchpan se, Shayad iske siwa , Mujhe nhi lgta, ki haan, tu bhi hai khin.. Bhagwaan sb thik kr dega , Bhagwaan pr vishwaas rkh, Upar wale sb dekh rha hai, Ye sunkr hum sb bde hue , Hhaaha pele ye btao upar jakr kitni uske samne khde hue… Hr dukh mera khudse pehla tujhse bant-ta tha, Or Har khushi meri me, tujhe khud se pehle khush manta tha, Kbhi roya bhi tere samne , To kuch soch kr ki shayad tu sunta hoga , Ek raah chlta smjha gya ki tu bhi yr upar shayad pura din sota hoga Teri shuruwat mere manne se hai , Or Mere manna tere hone se .. Lekin agar tu hai, to khan reh jata hai Sabse zruri raston pr… Agr sab shi krna chahta hai , To kuch galat hone hi ku deta hai, Or agr kuch sikhana chahta hai , To bhi ese… Agr hme bnane wala tu hai, Hme bcha smjh palne...

Relation : A lie😑

In one's life span he/she comes across thousands of peoples, henceforth hundreds of relations he make throughout his life namely friends, brothers, sisters, mates etc and etc. What is relation as a process, why is it done, is there any contradiction of humans as a social animal??? These are some of the very basic questions one might think of...           Let's understand them the way much beyond we know and try to find some answers. Believe me or not but its just the selfish nature of humans that leads us to relations, may be for money , pleasure ,love ,attraction, feeling of devotion, feeling attached, closeness etc ,these can be the purpose for one to get in contact of more people. Power and position are the needs of today's man... #fact       Its not like we do make relations knowingly for just our benefit, (deep inside)its our brain it knows what it can get from the one in front of us ,what relation is to be maintained....

The power of believing

It is believed since long time that we attract what we think.          What it means is whenever we have a thought in our mind we unknowingly gives it a way ahead.           According to a documentary movie "Secret" it is found true too and it is mentioned that whenever we demand something (thinking being a part of our demand), we ask nature for it... But wait, Some questions might arise in your brain that how it happens and if it happens than why don't we get all we want?   So, what's the real secret behind... Let me explain you, have you ever wondered that why it is that when you don't wanna get late for something you are stuck in traffic or your clothes get dirty or something else happens,                     Its because your thought attracted the negative(getting late) more than positive (not getting late). Another thing is that it is also believed by many that if...